
TOOFAAN
Toofaan mein fas gayi hai naiya ab kaun us
toofaan ko rokega?
Samundar hil raha hai, dharti bhi aur
aasmaan bhi hil uthega
Hil uthe hain jungle jhaadhi hil uthe parvat
pahaadi
Is bawandar ke jhakhoron ko wahi rokega jo
hoga khiladi
Bata do yeh kaysa toofaan hai jo rokane se bhi
nahi rukega
Yeh tofaan hamaare dil aur dimaag mein hai
rokne se rukega
Is toofaan se hamaari junoon dabi hai hamko
kuchh karna padega
Hamaari sabhi pariwartan ruki hai ab hamko
kuchh karna padega
Naujawaano ka uth gaya hai paon unki josh
badh gaya hai
Naye yug ke log uth gaye apne thaon se unko
hosh aagaya hai
Jo toofaan naas kar rahi hai himmat hamari
use insaan rokega
Joshi insaan mein bal aajaaye to wo koi bhi
toofaan ko rokega
Hamaare andar ka toofaan to kam hai wo sare
sabko rokega
Utho jawano aage badho apne andar ke
toofaano ko roko
Na tum chaaho na ham chaahen par in
toofaano ko to rook
Aaj mera dil fakr se ooncha huwa aur dil mein
josh bhara hai
Jajawaan hamare kabil huye hain unke
baraabar koi nahi hai
Koi rok nahi sakta hai ab unko jinke dil mein
josh bhari hai
Chalo jawaano sewa mein lag jaawo samaaj ko
sudhaar ke rakh do
Ek hi ishaare par mar mito shaan dikha kar
janta ko khush kar do.
Describe what you're looking for in as much detail as you'd like.
Our AI reads your request and finds the best matching books for you.
Popular searches:
Join 2 million readers and get unlimited free ebooks