
MAIN AKELA HOON
YAHAN
Maanaa ki ab main yahaan akela hi rah gaya
Judaai ka jakham mere seene mein rah gaya
Main rota raha ki koi chup karaane aayega
Par jisko chup karana tha wo hi rone laga
Ab kabhi ham tootate hain kabhi khwaab
tootata hai
Na jaane kitne tukde mera sab armaan hota
hai
Ab toh unki judaai bhi ham se pyaar karti hai
Unki sabhi madhur yaaden hamko bekarar
karti hai
Wo kuchh din jo unke saath guzare the yaad
aate hai
Ab har roj talaash unko meri nazar baar baar
karti hai
Baytha hoon tanha ho kar unki yaad mein
yahan
Aur kuchh nahi unke yaadon ke siwa mere
paas mein yahan
Sochta hoon kya hua jo main baytha hoon aas
lagaye yahan
Registaan bhi to jeeta hai warish ke ass mein
wahan.
THODE DINO MEIN UNKE
PAAS JAANA HAI
Un dino ke pyaar mohabbat ke kisse to ab bekaar
huye
Ab jab bhi dekhta hoon mere dil ke tukade hazaar
huye
Un dino to is dil mein kabhi koi gham hi nahin
rahti thi
Unke pyaar mein itna dam tha ki yeh dil mauj
karti thi
Ab to har pal har lamha unki madhur yaad sataati
hai
Magar ab yeh judayi ke dukh dard har ghadi rahti
hai
Tere jaane ke baad ab tere yaadon ke sahare jeeta
hoon
Ab har roj yahan gham ke aansuwon ko pee raha
hoon
Kab tak yeh haal hoga kab tak yeh sab sahata
sahunga
Kab tak yeh silsila chalega kab tak yahin pada
rahunga
Kab talak main ayse hi tadapta aur bhatakta
rahunga
Kab talak main yahan in ghamon ko uthaata
rahunga
Diwaane tu kyun tadapta hai aur itna gham
uthata hai
Umar guzar jayegi thode dino mein unke paas
jaana hai.
Describe what you're looking for in as much detail as you'd like.
Our AI reads your request and finds the best matching books for you.
Popular searches:
Join 2 million readers and get unlimited free ebooks