
GULDASTA SHAYARI KA
1
Wo jo jeewan bhar mere kareeb thi ek din
mudd kar guzar gayi
Kuchh khaas aysa hua ki meri sari jindgi ek
dam badal gayi
Ab to mujhe dukh ke sagar mein doobne ki
tamanna bhi na rah gayi
Tufaan anek aaten hain jindgi mein jo aati
hain wo bhi guzar gayi.
2
Ab to shabnam se bhi haath jal jaata hai to
aag se kyun daroon,
Phoolon se bhi ab ghayal ho jaata hoon to
kaanton ko kya karoon,
Hamare is jeewan mein ab do hi raasten nazar
aaten hain,
Ayse tanhai mein rah lete hain ya ghayal ho
ke rah lete hain.
3
Lafzon ki tarha mujh se tum kitaabon mein
milaa karo
Logon ka tujhe dar hai to khawabon mein mila
karo
Phoolon se to khushboo ka taluk hai zaruri,
Tum mujhse mehak banke gulabon mein mila
karo
Surahi ko main chhu kar tujhe mehsoos
karunga
Masti ki tarha mujh ko sharabon mein mila
karo
Main bhi hoon insaan mujh ko bahakne ka
bhi dar hai
Is waaste tum ab mujh se hijabon mein mila
karo.
4
Yeh tajurba bhi karoon yeh bhi gham
uthaawoon main
ke khudko yaad rakkhoon ya unko bhool
jaawoon main.
5
Dard duniya ne diye jakham sahane ke liye
Ham mile the tumhe dost banane ke liye
Unse phir mil jaata apni chaahat ke liye
Mil jaawo phir hamko khush karne ke liye.
6
Aayi thi idhar bahaaren wo udhar chali gayi
Abaad karne aayi thi par barbaad kar gayi
Jab tha unka sangam to koi gham nahi rahi
Jab hosh aagaya to meri jaan hi nikal gayi
Behisaab gham hai meri tanhaai chhaa gayi
Har pal dekhta hoon meri Rani kahan gayi.
7
Jameen kharid sakta hoon aasmaan kharid
sakta hoon
Mil jaaye meri Jaan phir to yeh duniyaa
kharid sakta hoon.
8
Sab muskurahat ko ham muskan nahi kahte
Nafrat ho ya mohabbat ye aasan nahi hote
Aansu khushi ke gham ke hote hai ek jaise
In aansuon ki yahan koi pehchan nahi rahte
Hote hai is jahan mein chehre bhi ek jaise
Ghunghat bhi ek jaise, sehre bhi ek jaise
Sab jaanti hai nazrein, pehchaan bhi hoti
Apni paraayi surat aajkal anjan nahi hoti
Kya cheez hai yeh dil bhi, ho jaye jab akela
Rehta hai saath iske yadon ka ek jhamela
Duniya bhi chhoot jaye, har aas toot jati
Mehfil ab is dil ki khush haal nahi hoti.
9
Sheesha chaahe toot bhi jaaye
dil na kisi ka tootne paaye
Sheesha to kahin mil jayega
dil nahi jo bazaar mein mil jaaye
Yeh na wo phool jo phir baag mein khil jaaye
Khilta nahi wo phool jo ek baar murjha jaaye
Thehro, zara main hosh mein aa jaawoon
Tukdey apne dil ke chun ke utha laawoon
Na koi tukra ho jo unko kahin chubh jaaye
Sheesha chaahe toot jaaye
dil na unka toot paaye
Rukiye, zara sa main khud ko sambhaal loon
Aisa na ho kahin main apni jaan ganwa doon
Bas hamko to ab unka hi rahta hai gham
Apna kya hai, ab rahein ya na rahein ham
Sheesha to phoot gaya ab dil bhi toot jaaye
Khata meri hai ilzaam unpe nahi aa jaaye
10
Khushiyan aur gham saheti hain phir bhi
chupp rahti hai
Ab tak kisi ne na jaana yeh zindagi kya kya
kahti hai
Apni kabhi to kabhi ajnabee ban kar rahti hai
Aansoo kabhi to kabhi hansee bhi deti hai
Dariya kabhi to kabhi saagar si lagti hai
Dil se kaho aur dil ki suno yeh yahi kahti hai
Manmeet apna koi apna pyara sa chunlo tum
Kuch bhi kahe duniya duniya ko chhoro tum
Palkon mein unko bithaake jhilmil sapnay
dekho tum
Khushiyon aur ghamo ko jindagi bana ke
rakkho tum.
11
Meri taqdeer mein jalna hai to jal jaaunga
Koi aysa wada to nahi hoon jo badal jaaunga
Aag bhar do mere seene mein gham E ulfat ka
Main koi mom to nahi hoon jo pighal jaaunga
Dard itna hai ke ghabraake sab E furkat mein
Aah bankar unke pehalu se nikal jaaunga
Mujhko samjhao na main khud samajh
jaaunga
Main ek din khud hi thokare khake sambhal
jaaunga.
12
Sab ko is duniyan mein sab kuchh nahi milta,
Sagar ki har badi leharon ko saahil nahi milta,
Yeh duniya to dil walo ka bazaar hai khilta,
Kisi se dil nahi milta to koi dil se nahi milta
Meri dilruba se mera dil mila aur woh mujhse
dil se mili
Ab wo chali gayi to marne par meri aankhen
rahegi khuli
Aysa na ho ki ham jab fir mil jaayen to
dhokha ho
Dekh ke ek dooje ko hamari fir wahi pehchaan
ho.
13
Mehnat lagti hain sapno ko sach banaane
mein,
Housla laga tha hamko un bulandion ko pane
mein,
Hamko barso lag gaye the zindagi banaane
mein,
Zindagi fir bhi kam pad gayi yeh rishte
nibhaane mein.
14
Chhoti chhoti si baaton pe ham log
rooth jaate the,
Hamaare haath unse anjaane mein
chhoot jaate the
Mere liye bade najuk the wo apnepan
ke sabhi rishte
Hamne dekha hai ki haste haste bhi dil
toot jaate the.
15
Aajkal haanth mein mere mera kalam ka
aanaa suhaana lagtaa hai
Dil aur dimaag par mere jo jahar hai un ko
ugalna aa jaata hai
Tanhaai ne hamko mazboor kar diya warna jo
yeh kalam likhta hai
Mere padhne waalon ko bhi uska bojh
uthaana achha lagne lagta hai.
16
Chaahe waqt ki kadi dhoop ho ya aandhiyon
ki tez bayaaren hain
Ham kuchh apne puraane kadmon ke nisaan
nahin kho sakte hain
Jin ko har waqt yaad kar kar ke yeh aankhen
muskuraati rahti hain
Waysa madhur saathi door ho kar bhi kabhi
door nahin hote hain.
17
Wafa ki sahi keemat lagai nahi jaati
Hamse apni chahat chupayi nahin jaati,
Hamein is kadar hai unse mohabbat,
Hamse unki khata bhi batai nahin jaati.
18
Iss kadar hum unki mohabbat mein kho gaye
the,
Ki ek nazar dekha aur bas unhi ke hi ho gaye
the,
Aankh khuli to andhera tha dekha ki wo sab
sapne the,
Aankh bandh ki to unhi sapno mein phir kho
gaye the.
19
Ishq Tujse Karta Hu Main Zindagi Se Bhi
Jyada,
Main Darta Nahi Maut Se Teri Judayi Se
Jyada,
Chahe Tu Aajmaale Mujhe Kisi Aur Se
bakayda,
Meri Zindagi Mein Kuch Nahi Teri Pyar Se
Jyada.
20
Usne ham se puchha pyar kya hai?
Maine kanto pe chal ke bataa dia
Puchha, Kitna pyar karte jo mujhko?
Maine pura asman dikha dia
Puchha, Kayse rakhoge is pyar ko?
Maine mehkta hua gulab dikha dia
Puchha, Kayse rahoge bina mere saath?
Maine zamiin par unka saaya dikha dia.
21
Agle janam mein chehre pe tere sirf meri hi
noor hogi,
Uske baad phir tu kabhi nahi mujhse door
hogi,
Jara soch ke dekh tu ki phir hamari kya
khushi hogi,
Jab phir tere maang mein mere naam ki
sindoor hogi.
22
Mohabbat hamari mukaddar thi koi khwab
nahi,
Ye wo ada hai jisme sab log kaamyab nahi,
Jinhe kushi mili unhe ungliyo par gin lo sahi,
Jo mere tarah barbaad huye unka koi hisab
nahi.
23
Ab to sukhe patton se bhi pyar kar lenge,
Ab to teri parchhain se bhi ikrar kar lenge.
Jab tumko kahin raasto mein dekh lenge,
Marte dum tak ham aapka intzar kar lenge.
24
Ab to intezaar ki aadat si ho gayi hai,
Tanhaai ki ek muddat si ho gayi hai,
Na shikwa na shikayat karne ki zaroorat hai
Kyunki ab is tanhaai se mohabbat ho gayi hai.
25
Hamara pyar sabdon ka mohtaj nahi rahta
tha,
Is dil mein unke pyar ka sab din raaj rahta
tha,
Ham intezar nahi karte the kisi khaas din ya
mausam ka
Saal ka har ek din hamare pyar ka haqdaar
tha.
26
Apne tanhaion mein ham unko hi yaad karte
hain,
Wo sab din salamat rahen yahi fariyad karte
hain,
Ab hum unke hi mohabbat ka intezaar karte
hain,
Unko kya pata hum unse kitna pyaar karte
hain.
27
Ek unki mohabbat hai aur wahi unki ek
nishani hai
Ek mera dil hai jaise ab koi haweli bahut
purani hai
Safar lamba hai aur yeh raasta bhi bada
tufani hai
Samandar hi samandar hai, kashti bhi doob
jaani hai.
28
Ek unki mohabbat hai aur wahi unki ek
nishani hai
Ek mera dil hai jaise ab koi haweli bahut
purani hai
Safar lamba hai aur yeh raasta bhi bada
tufani hai
Samandar hi samandar hai, kashti bhi doob
jaani hai.
29
Intazari Ibteda-e-IshQ se Inteha-e-IshQ tak
hai
Main hi thehra bewafa aur maine hi wafa
nibhai hai
Mera jana unke jannate manzil tak namumkin
hai
Yahan to ab bas yaadon hi yaadon ki veerani
hai
Poochho yeh intezaar khatam kyun nahin
hota hai
Ye manzil mera muqadar hai, yahi meri
adhoori kahani hai.
30
Na jaane kab tak ye aankhen unka intejaar
karengi,
Unki yaad mein kab tak khud ko bekaraar
karengi,
Unko to ehsas nahi is mohabbat ka to wo kya
karengi
Kab tak ye dil ki dhadkane unka aytbaar
karengi.
31
Humne unko apna dil diya tha wo mere pyar
ki hadd thi,
Jaan de di unhonne to wo unke aytbaar ki
hadd thi.
Mar gaye agar ham aur khuli rah gayi aankhe
meri,
Wo meri intzaar ki hadd hogi kyunki wo pyaar
thi meri.
32
Voh dariya ke us paar ho gayi hum to is paar
hi hain
Na kuchh hum aage badhe, na kuchh woh
peechhe aayi hain
Magar pyar mein ham wahin ke wahin rah
gaye hain
Humko dariya paar jana hai, par kya wo is
paar aa sakti hain?
33
Geet to hum bhi gate agar wo meri aavaz hoti,
Baja to hum bhi lete agar wo meri saaz hoti.
Kya Shahjaha hi Taj Mahal bana sakta tha,
Ham bhi bana dete gar meri mumtaz yahan
hoti.
34
Unki yaadon ke chiragon ko jalaya hamne har
shaam,
Unki purani baato ko seene se lagaya har
shaam,
Maangta raha rab se unki khushiyon ki
duwayein,
Tanha baith ke haatho ko uupar uthaaya har
shaam.
35
Chaha tha ke ye sara aasma hamara hota,
Hamare khwahishon ka bhi koi kinara hota,
Ye soch kar na roka hamne apne musafir ko,
Door jata hi kyun agar wo hamara hota.
36
Kuchh nahi kehta yeh dil chupchaap sa rehta
hai,
Dard-E-Dil itna hai ki har pal ashq behta
rehta hai,
Dekhta hoon jab bhi kisi aakash se toote huye
taare ko,
Na jaane kyun wo hamse kuchh keh raha sa
lagta hai.
37
Main alfaz hoon unka har baat samajhta
hoon,
Main ehsas hoon unka jazbaat samajhta
hoon,
Main poochhta nahi ki kyun door ho gayi
Mujhse,
Main dil rakhta hoon unki halaat samajhta
hoon.
38
Apne dharma karam se wo mera muqqaddar
bana gaye,
Ek darya ko pal bhar mein samundar bana
gaye,
Phoolon se bhi jyada narm tha, kabhi dil ye
mera,
Itna tadpaaya diya ki ab ham patthar bann
gaye.
39
Tere liye hi dhadakta hai dil mera,
Fir bhi dil ki dhadkan udaas hai,
Shayad dil mera yeh jaanta hai,
Ki tere liye mera dil hi khaas hai.
40
Ek raat rab ne mere dil se poochha,
Tu pyar mein itna kyon khoya hai,
Dil bola unhon ne hi di hai saari khushiya,
Warna pyar karke yeh dil hamesha roya hai.
41
Nigahein nigahon se phir mila kar to dekho,
Jara hamse phir rishta bana kar to dekho,
Hasrate dil mein dabane se kya faayeda,
Apne honto ko hila kar meri orr to dekho,
Aasman simat jayega tumhare aagosh mein,
Jara chahat ki bahein phir Fayla Ke to dekho.
42
Bahot khubsurat ho gayi hain ye aankhe
tumhari,
Ab apne aapko bana do phir se tum kismat
hamaari,
Hamko aur kuchh nahi chahiye siwaye pyar
tumhari
Ham jee uthenge phir gar mil jayegi hamko
mohabbat tumhari.
43
Mere nigahon se wo is dil mein samaaye,
Jab jab mere ashk bahe to palko par aaye,
Dar tha kahin wo hamse door na ho jaaye,
Is liye apne palko ko hum kabhi na jhukaye
Hua wahi jiska hamko dar tha ye nabhaaye
Unke jaane ke baad aaj tak wo nazar na aaye.
44
Meelon ke faaslo mein bhi jab duri na ho,
Baat unse na ho, aisi majburi na ho,
Meri tamanna hai hamari lambi saath ho,
Aasha karta hoon ye dua meri adhuri na ho.
45
Justaju hai phir se tumhe paane ki,
Jarurat nahi hamko kisi bahaane ki,
Door na raho khatam karo duriyon ki
Ab to maan lo baat apne is diwane ki.
46
Woh ishq bhi kya ghajab raha hoga,
Woh ishq bhi kya rang laaya hoga,
Saroj jis mein pyar ki putli huyi thi,
Aur Lakhan jis mein diwana raha hoga.
47
Is duniya se miley gham to bahut hain,
In miley gamo se ankhein num to bahut hain,
Kab ke marr jaate in ghamo ko gar sahte nahi
Par un ki duwawon mein dum bhi bhut rahi.
48
Tum se door rahoon to magar kayse
Haal-E-Dil bhi kahoon to bhala kayse
Bahut samjhaya is paagal dil ko aye sanam
Dil ko shaant karoon magar yeh kayse
Kuchh kehti hain sapne mein wo jayse
Wo baat kagaz par likhoon magar kayse.
49
Mere nazdeek aa ke to dekh mere ehsaas ki
baat
Mera dil kitna dharakta hai sirf tere naam ke
saath.
Dil aur pyar ki ladaayi ne mujhe barbaad kar
rakha hai,
Na to pyar shikasht khata hai aur na dil haar
manta hai.
50
Hum aapko dil hi dil mein chahte rahenge,
Apne mohabbat ka na kabhi izhar karenge.
Tum na aawoge sanam ye jaante hain hum,
Phir bhi har mod pe aapka intezaar karenge.
51
Badi mushkil se rahta hoon, toot jaane ke
baad
Mai aaj bhi ro detaa hoon, muskurane ke
baad
Hamko tujhse mohabbat thi be’ intiha milney
ke baad
Yeh sab mujhe mehsus hua tere chale jaane
ke baad
Ab tak dhoondh raha hoon apne andar ke us
shakhs ko,
Jo nazar se kho gaya hai mere nazar aane ke
baad.
52
Pyar ki ek anokhi moorat thi meri mehbooba
Mere zindagi ki ek zaruat thi meri mehbooba
Chaman ke phool to khoobsurat hote hi hain
Phoolo se bhi khoobsurat thi meri mehbooba.
53
Sona to chahta hoon par ab neend nahi aati
hai,
Badal badal ke karwate yunhi raat guzar jati
hai,
Phir kar bhi le pyar ka izhar ye meri jaane
jigar,
Bata de akhir kyon mujhe itna tadpati rahti
hai.
54
Unka haal kaysa hoga yahi gam satata hai
Neend bhi nahi aati dard badhta jaata hai
Jindgi ki rahon mein log hamse kahte hai
Ek mein tu tanha aur so mein bhi akela hai.
55
Logo ne kaha ki main sharabi ho gaya hoon,
Maine kaha unho ne ankhon se pilaai hai,
Logo ne kaha ki mai ashiq ho gaya hoon,
Maine kaha ashiqi unho ne hi sikhai hai,
Logo ne kaha tu shayar diwana ban gaya hai,
Maine kaha unki mohabbat ab rang lai hai.
56
Haan mera har lamha chura liya hai aapne ,
Aankho ko ek chaand dikha diya hai aapne ,
Humko zindagi to di thi kisi aur ne ,
Par pyaar itna dekar jeena sikhaya hai aapne.
58
Meri har khata par naraaz na hona,
Apni pyari si muskan ko kabhi na khona,
Sukun milta hai aapki hansi dekhkar
Mujhe maut bhi aajaye tab bhi mat rona.
59
Kitab-E-Ishq padh rahe the ham
Mera bhi naam us mein juda mila
Jab apne naam ka panna khole ham
Kismat se wahi panne pe tera naam mila.
60
Baadalon ke darmiyan kuchh aisi saazish hui,
Ghar mitti ka tha mere hi ghar baarish hui,
Usko bhi zid thi yahin bijliyan giraane ki,
Hamein bhi zid thi wahin aashiyan banane ki
Ek bijli yun giri ki meri mehbooba chali gayi
Dusari bijli yun kiri ki jaan hi meri nikal gayi.
61
Dil ko adat si ho gai hai chot khane ki
Bhigi palko ke sang m ab muskurane ki
Kash anjaam hum pehle se jaan jaate is ki
To koshish na karte unse dil lagaane ki.
62
Yeh duniya hamko tera deewana nahi,
mera dushman maanti hai.
Maine aapse kitni mohabbat ki, usse koi jaane
na jaane, par mera dil jaanta hai.
63
Jee bhar ke dekhoon tujhe agar tujhko gawara
ho
Betab meri nazrein ho aur wo pyar tumhara
ho
Apne jaan ki fikar na ho na jamane ki parwah
ho
Bas ek wahi tera paawan pyar ho jo sirf
hamara ho.
64
Tum jo hamko chhorr gaye hum to mar hi
gaye hain
Tumharey dam se zindagi hai sirf itna yaad
rakhe hain
Meri aankhon mein neend ban ke reh jao ab
yahi theek hai
Tumhrey intezar mein kitni raaton ko main
soya nahi hai.
65
Toofan bhi agar dard bana to main sambhal
jaunga,
Mein teri julf nahi jo zindagi mein bikhar
jaunga.
Yahan se uthoonga to yeh mat poochhna ke
kahan jaunga,
Mein to wo dariya hoon jo aake tum se mil
jaunga.
66
Unse ab bahut hi door rahte hain ham
Magar apne dil se dua karte hain ham
Unko pyaar bepanah karte hain ham
Yeh farz yahin se ada karte hain ham
Unki yaadon ko saath rakhte hain ham
Khushi ya gham unko yaad karte hain ham.
67
Kis hadd tak chalna tha yeh ham nahi jaante
the
Kis manzil ko paana tha yeh ham nahi jaante
the
Pyaar ke ye do char pal yahan ji bhar ke jeeye
the
Kis roz bichhad jaana tha yeh bhi ham nahi
jaante the.
68
Jeewan bhar main khushiyon ke chaah mein
khoya tha
Kabhi kabhi to dukhon ke panah mein roya
bhi tha
Hamare yeh jindagi ka ajeeb silsila ka ek hi
maksad tha
Bharosa ke liye ya kabhi un pe bharosa kar ke
roya tha.
69
Mere is jeewan mein unka saath kaafi tha
Mere dil pe unka haanth ka rahna kaafi tha
Ab wo chahe door ho ya paas koi fark nahi hai
Hamare sachche rishte ka ehsaas kaafi hai.
70
Aaj bhi wo mere hak mein sada dua karti rahti
hain
Dukhon ke dariya mein doobta bhi hoon to
bacha leti hain
Ab meri yeh sooni jindagi ghamo se giraftaar
ho gayi hai
Ab kya karoon koi bhi khushiyan kareeb nahi
aati hai
Jayse jamane bhar ka jahar bhi ham ne ab pi
liya hai
Yeh jaan hai ki kambakht nikal kar jaata bhi
nahi hai.
71
Ab kuchh is tarah maine apne jindagi ko
aasaan kar liya
Apne mehbooba se maafi maang li aur unko
maaf kar diya
Apne dil ki aawaz ko sunte hain aur unke
aankhon se dekhte hain
Sirf paane ka naam pyaar nahi khone ko bhi
ham isq kahte hain.
72
Unko yaad karne ki sab lamhe to apne aap
hamko mil hi jaati hain
Koshish jaari hai waqt mil jaati hai jab unki
yaade aati hain
Hamare rishton ka dhaaga kachcha nahi dil ki
aawaz hai
Mera pyar ab ek tarfa to lagta hai lekin sada
sachcha rahta hai
Mera ghar ab ek mandir hai mera juban unki
pooja karta hai
Yeh juban kabhi unka naam leta hai kabhi
chup rahta hai.
73
Ab agar doobta hoon to dariya ko dosh deta
hoon
Girta hoon to raaste ke patthar ko dosh deta
hoon
Unke bina kuchh kar nahi paata to unko dosh
deta hoon
Ayse mein apne aap ko nahi kismet ko dosh
deta hoon.
74
Yeh mere ajnabi shahar ke ajnabi raste hain
Log meri tanhai par muskurate rahte hain
Ham bahot door tak yun hi chalte rahe hain
Wo bahot der tak mujhe yaad aate rahe hain.
75
Kal kuchh aisa hua mai bahot thak gaya tha
Is liye baat sun ke bhi ansuni kar gaya tha
Unki yaado ke bhatakte karwan chal rahe the
Dil ke jakhmo ke dwar ko khatkhataa rahe the
76
Unke judai mein ham jahar peete rahe,
Describe what you're looking for in as much detail as you'd like.
Our AI reads your request and finds the best matching books for you.
Popular searches:
Join 2 million readers and get unlimited free ebooks