
MAIN AKELA HOON
YAHAN
Maanaa ki ab main yahaan akela hi rah gaya
Judaai ka jakham mere seene mein rah gaya
Main rota raha ki koi chup karaane aayega
Par jisko chup karana tha wo hi rone laga
Ab kabhi ham tootate hain kabhi khwaab
tootata hai
Na jaane kitne tukde mera sab armaan hota
hai
Ab toh unki judaai bhi ham se pyaar karti hai
Unki sabhi madhur yaaden hamko bekarar
karti hai
Wo kuchh din jo unke saath guzare the yaad
aate hai
Ab har roj talaash unko meri nazar baar baar
karti hai
Baytha hoon tanha ho kar unki yaad mein
yahan
Aur kuchh nahi unke yaadon ke siwa mere
paas mein yahan
Sochta hoon kya hua jo main baytha hoon aas
lagaye yahan
Registaan bhi to jeeta hai warish ke ass mein
wahan.
Describe what you're looking for in as much detail as you'd like.
Our AI reads your request and finds the best matching books for you.
Popular searches:
Join 2 million readers and get unlimited free ebooks